Saadullah Shah

waqt to waqt hai rukta nahin ek pal ke liye

Saadullah Shah

1958
vaqt to vaqt hai ruktā nahīñ ik pal ke liye
ho vahī baat jo qaa.em bhī rahe kal ke liye
munsif-e-vaqt haqīqat hai haqīqat hai ḳhudā
ḳhauf lāzim hai bahar-taur har ik hal ke liye
ai mirī ḳhvāhish-e-tahsīl sujhā de mujh ko
koī rasta dar-e-imkān-e-muqaffal ke liye
maiñ samundar huuñ ḳhamoshī pe na jaanā merī
mujtam.a kartā huuñ tāqat ko baḌī chhal ke liye
tarbiyat ḳhuun meñ rach jaa.e to tab hotā hai
varna āsāñ nahīñ jaanā kisī karbal ke liye
'sād' Dartā huuñ agar maiñ to bas ik ḳhvāhish se
vo jo kar de na barahna tujhe maḳhmal ke liye
Top Urdushayar.com