hañsī kī baat ki us ne vahāñ bulā ke mujhe
bahut rulāyā kahānī mirī sunā ke mujhe
har ek lamha mirā ḳhauf kī giraft meñ hai
muhāfizoñ se bachā.egā kaun aa ke mujhe
kalām-e-fan se liyā kaam us ne mujh se bhī
tabāh apne adū ko kiyā bachā ke mujhe
vo baaġh baaġh huā hai to be-sabab bhī nahīñ
milā hai kuchh to use ḳhaak meñ milā ke mujhe
tumheñ ḳhabar hai ki sar par paḌegī raakh tire
uḌā diyā hai fazā meñ jo yuuñ jalā ke mujhe
use banāyā thā maiñ ne baḌī hī mehnat se
ḳhudā gavāh ki vo bhī chalā banā ke mujhe
use kaho ki haiñ hāzir mazīd dukh de le
bahut sukūn milā hai agar satā ke mujhe