Saadullah Shah

hum ki chehre pe na lae kabhi virani ko

Saadullah Shah

1958
ham ki chehre pe na laa.e kabhī vīrānī ko
kyā ye kaafī nahīñ zālim tirī hairānī ko
kār-e-farhād se ye kam to nahīñ jo ham ne
aañkh se dil kī taraf moḌ diyā paanī ko
shīsha-e-shauq pe tū sañg-e-malāmat na girā
aks-e-gul-rañg hī kaafī hai girāñ-bānī ko
dāman-e-chashm meñ taarā hai na jugnū koī
dekh ai dost mirī be-sar-o-sāmānī ko
tū ruke yā na ruke faisla tujh par chhoḌā
dil ne dar khol diye haiñ tirī āsānī ko
haañ mujhe zabt hai saudā hai jinnoñ hai shāyad
de lo jo naam bhī chāho mirī nādānī ko
jis meñ mafhūm ho koī na koī rañg-e-ġhazal
'sād' jī aag lage aisī zabāñ-dānī ko
Top Urdushayar.com