ye raat din kā badalnā nazar meñ rahtā hai
hamārā zehn musalsal safar meñ rahtā hai
nazar meñ us kī to vus.at hai āsmānoñ kī
go dekhne ko parinda shajar meñ rahtā hai
hamārā naam vo le le to log chauñk uTTheñ
ki fard fard hamāre asar meñ rahtā hai
shajar shajar jo samar hai to dekh ḳhud ko bhī
jahān-e-nau kā tasavvur samar meñ rahtā hai
har ek baat kā bilkul yaqīn aayā magar
hamārā ḳhauf tumhāre agar meñ rahtā hai
tujhe gumāñ hai ki manzil pe to pahuñch bhī gayā
har ek shaḳhs yahāñ rahguzar meñ rahtā hai
use sukūn hai is se ki ham ko chain nahīñ
bas ik junūn hamārī ḳhabar meñ rahtā hai
nahīñ hai kuchh bhī vo ai 'sād' bas ḳhayāl sā hai
magar ḳhayāl kā saudā to sar meñ rahtā hai