Abhishek Shukla

dar-e-KHayal bhi kholen siyah shab bhi karen

Abhishek Shukla

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1985
dar-e-ḳhayāl bhī kholeñ siyāh shab bhī kareñ
phir us ke ba.ad tujhe socheñ ye ġhazab bhī kareñ
vo jis ne shaam ke māthe pe haath pherā hai
ham us charāġh-e-havā-sāz kā adab bhī kareñ
siyāhiyāñ sī bikharne lagī haiñ siine meñ
ab us sitāra-e-shab-tāb kī talab bhī kareñ
ye imtiyāz zarūrī hai ab ibādat meñ
vahī duā jo nazar kar rahī hai lab bhī kareñ
ki jaise ḳhvāb dikhānā tasalliyāñ denā
kuchh ek kaam mohabbat meñ be-sabab bhī kareñ
maiñ jāntā huuñ ki tābīr hī nahīñ mumkin
vo mere ḳhvāb kī tashrīh chāhe jab bhī kareñ
shikast-e-ḳhvāb kī manzil bhī kab na.ī hai hameñ
vahī jo karte chale aa.eñ haiñ so ab bhī kareñ
Top Urdushayar.com