lahr kā ḳhvāb ho ke dekhte haiñ
chal tah-e-āb ho ke dekhte haiñ
us pe itnā yaqīn hai ham ko
us ko betāb ho ke dekhte haiñ
raat ko raat ho ke jaanā thā
ḳhvāb ko ḳhvāb ho ke dekhte haiñ
apnī arzāniyoñ ke sadqe ham
ḳhud ko nāyāb ho ke dekhte haiñ
sāhiloñ kī nazar meñ aanā hai
phir to ġharqāb ho ke dekhte haiñ
vo jo pāyāb kah rahā thā hameñ
us ko sailāb ho ke dekhte haiñ