Abhishek Shukla

ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai

Abhishek Shukla

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1985
ab iḳhtiyār meñ maujeñ na ye ravānī hai
maiñ bah rahā huuñ ki merā vajūd paanī hai
maiñ aur merī tarah tū bhī ik haqīqat hai
phir is ke ba.ad jo bachtā hai vo kahānī hai
tire vajūd meñ kuchh hai jo is zamīñ kā nahīñ
tire ḳhayāl kī rañgat bhī āsmānī hai
zarā bhī daḳhl nahīñ is meñ in havāoñ kā
hameñ to maslahatan apnī ḳhaak uḌānī hai
ye ḳhvāb-gāh ye āñkheñ ye merā ishq-e-qadīm
har ek chiiz mirī zaat meñ purānī hai
vo ek din jo tujhe sochne meñ guzrā thā
tamām umr usī din kī tarjumānī hai
navāh-e-jāñ meñ bhaTaktī haiñ ḳhushbueñ jis kī
vo ek phuul ki lagtā hai rāt-rānī hai
irādatan to kahīñ kuchh nahīñ huā lekin
maiñ jī rahā huuñ ye sāñsoñ kī ḳhush-gumānī hai
Top Urdushayar.com