surḳh sahar se hai to bas itnā sā gila ham logoñ kā
hijr charāġhoñ meñ phir shab bhar ḳhuun jalā ham logoñ kā
ham vahshī the vahshat meñ bhī ghar se kabhī bāhar na rahe
jañgal jañgal phir bhī kitnā naam huā ham logoñ kā
aur to kuchh nuqsān huā ho ḳhvāb meñ yaad nahīñ hai magar
ek sitāra zarb-e-sahar se TuuT gayā ham logoñ kā
ye jo ham taḳhlīq-e-jahān-e-nau meñ lage haiñ pāgal haiñ
duur se ham ko dekhne vaale haath baTā ham logoñ kā
bigḌe the bigḌe hī rahe aur umr guzārī mastī meñ
duniyā duniyā karne se jab kuchh na banā ham logoñ kā
ḳhaak kī shohrat dekh ke ham bhī ḳhaak hue the pal bhar ko
phir to ta.āqub kartī rahī ik umr havā ham logoñ kā
shab bhar ik āvāz banā.ī sub.h huī to chīḳh paḌe
roz kā ik ma.amūl hai ab to ḳhvāb-zada ham logoñ kā