safar ke ba.ad bhī zauq-e-safar na rah jaa.e
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ ab ke bhī ghar na rah jaa.e
maiñ sochtā huuñ bahut zindagī ke baare meñ
ye zindagī bhī mujhe soch kar na rah jaa.e
bas ek ḳhauf meñ hotī hai har sahar merī
nishān-e-ḳhvāb kahīñ aañkh par na rah jaa.e
ye be-hisī to mirī zid thī mere ajzā se
ki mujh meñ apne ta.āqub kā Dar na rah jaa.e
havā-e-shām tirā raqs nā-guzīr sahī
ye merī ḳhaak tire jism par na rah jaa.e
usī kī shakl liyā chāhtī hai ḳhaak mirī
so shahr-e-jāñ meñ koī kūza-gar na rah jaa.e
guzar gayā ho agar qāfila to dekh aao
pas-e-ġhubār kisī kī nazar na rah jaa.e
maiñ ek or khaḌā huuñ hisār-e-duniyā ke
vo jis kī zid meñ khaḌā huuñ udhar na rah jaa.e