Abhishek Shukla

abhi to aap hi hail hai rasta shab ka

Abhishek Shukla

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1985
abhī to aap hī haa.il hai rāstā shab kā
qarīb aa.e to dekheñge hausla shab kā
chalī to aa.ī thī kuchh duur saath saath mire
phir is ke ba.ad ḳhudā jaane kyā huā shab kā
mire ḳhayāl ke vahshat-kade meñ aate hī
junūñ kī nok se phūTā hai aabla shab kā
sahar kī pahlī kiran ne use bikher diyā
mujhe sameTne aayā thā jab ḳhudā shab kā
zamīñ pe aa ke sitāroñ ne ye kahā mujh se
tire qarīb se guzrā hai qāfila shab kā
sahar kā lams mirī zindagī baḌhā detā
magar garāñ thā bahut mujh pe kāTnā shab kā
kabhī kabhī to ye vahshat bhī ham pe guzrī hai
ki dil ke saath hī dekhā hai Dūbnā shab kā
chaTaḳh uThī hai rag-e-jāñ to ye ḳhayāl aayā
kisī kī yaad se juḌtā hai silsila shab kā
Top Urdushayar.com