ābrū-e-shab-e-tīra nahīñ rakhne vaale
ham kahīñ par bhī añdherā nahīñ rakhne vaale
aa.ina rakhne kā ilzām bhī aayā ham par
jab ki ham log to chehrā nahīñ rakhne vaale
ham pe farhād kā kuchh qarz nikaltā hai so ham
tum kaho bhī to ye tesha nahīñ rakhne vaale
ham ko ma.alūm haiñ az-rū-e-mohabbat so ham
koī bhī dard ziyāda nahīñ rakhne vaale