chāñd vīrān hai sadiyoñ se mire dil kī tarah
zindagī ġham hai ḳhalā meñ mirī manzil kī tarah
kurra-e-arz hai ik markaz-e-hañgāma-e-shauq
bahr-e-be-āb meñ tahzīb ke sāhil kī tarah
zarra-e-ḳhāk se hai sho.ala-e-jauhar kī numūd
jis ne sūraj ko bhī dekhā hai muqābil kī tarah
kal ke chañgez-o-halākū haiñ pas-e-parda-e-ḳhāk
surḳh-rū the jo kabhī ḳhanjar-e-qātil kī tarah
mere qadmoñ ke nishāñ chāñd pe raḳhshanda haiñ
aap aa jā.iye āvāra-e-manzil kī tarah
girah-e-shām-o-sahar ahl-e-ḳhirad se na khulī
zindagī aaj bhī hai uqda-e-mushkil kī tarah