Rifat Sarosh

daulat-e-harf-o-bayan sath liye phirte hain

Rifat Sarosh

Bijnor, Uttar pradesh, India

1926
daulat-e-harf-o-bayāñ saath liye phirte haiñ
ham mohabbat kā jahāñ saath liye phirte haiñ
ik tabassum pe na jaanā ki tire dīvāne
ġham kā ik koh-e-girāñ saath liye phirte haiñ
jis pe ik saañs kī takrār se baal aa jaa.e
ham vo shīshe kā makāñ saath liye phirte haiñ
āñdhiyāñ us ko bujhāne ke liye haiñ betāb
ham jo ye mish.al-e-jāñ saath liye phirte haiñ
dasht-e-ġhurbat meñ buzurgoñ kī duā hai hamrāh
sāya-e-abr-e-ravāñ saath liye phirte haiñ
sañg-e-dar se jo tire sūrat-e-sauġhāt milā
raushnī kā vo nishāñ saath liye phirte haiñ
ham ne dekhā to nahīñ sirf sunā hai ki 'sarosh'
āj-kal sarv-e-ravāñ saath liye phirte haiñ
Top Urdushayar.com