Rifat Sarosh

hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai

Rifat Sarosh

Bijnor, Uttar pradesh, India

1926
hañgāme se vahshat hotī hai tanhā.ī meñ jī ghabrā.e hai
kyā jāniye kyā kuchh hotā hai jab yaad kisī kī aa.e hai
jin kūchoñ meñ sukh-chain gayā jin galiyoñ meñ badnām hue
dīvāna dil un galiyoñ meñ rah rah kar Thokar khaa.e hai
sāvan kī añdherī rātoñ meñ kis shoḳh kī yādoñ kā āñchal
bijlī kī tarah lahrā.e hai bādal kī tarah uḌ jaa.e hai
yādoñ ke darpan TuuT ga.e nazroñ meñ koī sūrat hī nahīñ
lekin be-chehra maazī saaya saaya lahrā.e hai
kuchh duniyā bhī bezār hai ab ham jaise vahshat vāloñ se
kuchh apnā dil bhī duniyā kī is mahfil meñ ghabrā.e hai
kaliyoñ kī qabā.eñ chaak huiiñ phūloñ ke chehre zaḳhmī haiñ
ab ke ye bahāroñ kā mausam kyā rañg nayā dikhlā.e hai
dīvār na dar sunsān khañDar aisā ujḌā ye dil kā nagar
tanhā.ī ke vīrāne meñ āvāz bhī Thokar khaa.e hai
ye merā koī dam-sāz na ho 'rif.at' ye koī hamrāz na ho
jo mere giit mirī ġhazleñ merī hī dhun meñ gaa.e hai
Top Urdushayar.com