zindagī tujh se bichhaḌ kar maiñ jiyā ek baras
zahr tanhā.ī kā hañs hañs ke piyā ek baras
ik añdhere kā bhañvar thā mirā māhaul magar
kaam ashkoñ se charāġhoñ kā liyā ek baras
kisī āñdhī kisī tūfāñ se bujhā.e na bujhā
dil meñ jaltā hī rahā ġham kā diyā ek baras
ek lamha bhī gavārā na thā furqat kā 'sarosh'
ye bhī kyā kam hai tire ġham meñ jiyā ek baras