kaise amiir kis ke gadā tājdār kyā
dārul-fanā meñ jabr hai kyā iḳhtiyār kyā
vo tez dhuup hai ki pighalne lage haiñ ḳhvāb
zulfoñ ke saa.e deñge fareb-e-bahār kyā
ābād kar ḳharābae--zehn-o-ḳhayāl ko
shahroñ meñ DhūñDhtā hai sukūn-o-qarār kyā
simTe to musht-e-ḳhāk hai ye aadmī kī zaat
bikhre to phir ye arsa-e-lail-o-nihār kyā
maiñ huuñ 'sarosh' banda-e-majbūr-o-nā-tavāñ
mujh meñ bhī terā aks hai parvardigār kyā