Sardar Soz

lakh ho mazi daman-gir

Sardar Soz

Moradabad, Uttar pradesh, India

1934
laakh ho maazī dāman-gīr
mustaqbil kī dekh lakīr
sab se mohabbat karnā siikh
kah ke gayā kal ek faqīr
sab allāh ke bande haiñ
koī nahīñ duniyā meñ haqīr
ahd-e-javānī biit gayā
kar ab jiine kī tadbīr
kohkan ab bhī zinda hai
lā na sakā jo jū-e-shīr
kaise maiñ us ko sher kahūñ
jis meñ na ho koī tāsīr
dilkash haiñ kirdār ye sab
lailā ho shīrīñ yā hiir
apnī qismat aap banā
kyuuñ hai gilā-sanj-e-taqdīr
soz-e-darūñ bhī ne.amat hai
naam usī kā hai iksīr
'soz' ġham-e-jānāñ hī to hai
ahl-e-mohabbat kī jāgīr
Top Urdushayar.com