na koī dost na dushman ajiib duniyā hai
ye zindagī hai ki tanhā.iyoñ kā sahrā hai
badalte rahte haiñ har moḌ par safar ke rafīq
ġham-e-hayāt magar saath saath chaltā hai
ye shahr-e-dard hai logoñ sambhal sambhal ke chalo
har ek zarre meñ ābād dil kī duniyā hai
bānegā ye nayā āsmān-e-fikr-o-nazar
ġhubār-e-rāh jo pāmāl ho ke uTThā hai
jo dekhiye to bagūla hai reg-e-āvāra
jo sochiye to yahī ābrū-e-sahrā hai
kuchh aaj rañg hai mailā fazā ke āñchal kā
zarūr ādam-e-ḳhākī idhar se guzrā hai
'sarosh' vādī-e-ġhurbat se be-ḳhabar guzro
tumhāre saath mohabbat kā narm saaya hai