Rifat Sarosh

gali gali meri wahshat liye phire hai mujhe

Rifat Sarosh

Bijnor, Uttar pradesh, India

1926
galī galī mirī vahshat liye phire hai mujhe
ki sañg-o-ḳhisht kī lazzat liye phire hai mujhe
na koī manzil-e-maqsūd hai na rāh-e-talab
bhaTakte rahne kī aadat liye phire hai mujhe
na māl-o-zar kī tamannā na zindagī kī havas
na jaane kaun sī quvvat liye phire hai mujhe
haram se dair talak dair se haram kī taraf
na jaane kis kī aqīdat liye phire hai mujhe
ye mufsidoñ kā jahāñ ye tazād kī duniyā
bas ek harf-e-mohabbat liye phire hai mujhe
mujhe kiyā mirī fikr-e-rasā ne āvāra
ki dar-ba-dar mirī shohrat liye phire hai mujhe
jo bas chale na uThūñ tere āstāne se
ye sar-phirā jo hai 'rif.at' liye phire hai mujhe
Top Urdushayar.com