Rifat Sarosh

shahr-e-shor-o-shar tanha ghar ke baam-o-dar tanha

Rifat Sarosh

Bijnor, Uttar pradesh, India

1926
shahr-e-shor-o-shar tanhā ghar ke bām-o-dar tanhā
tum nahīñ to lagtā hai ālam-e-bashar tanhā
dard āshnā taa.ir chheḌ naġhma-e-hasrat
kyuuñ ḳhamosh baiThā hai ġham kī shāḳh par tanhā
jab ḳhushī kā mausam thā ham-safar thā ik aalam
kāTnī hai ab lekin ġham kī rahguzar tanhā
har taraf tirī yādeñ muskurātī rahtī haiñ
kis ne kah diyā tujh se ab hai merā ghar tanhā
tum ne ba.ad muddat ke dil kā haal pūchhā hai
karvaTeñ badaltā hai ġham kī sej par tanhā
shahr ke galī kūche pūchhte haiñ rah rah kar
ai 'sarosh' phirte ho kyuuñ idhar-udhar tanhā
ai 'sarosh' mat pūchho merī kyā haqīqat hai
zindagī ke sahrā meñ dard kā shajar tanhā
Top Urdushayar.com