ghar ko ab dasht-e-karbalā likkhūñ
aaj ḳhud apnā marsiya likkhūñ
saada kāġhaz pe ḳhuun ke aañsū
ab use ḳhat meñ aur kyā likkhūñ
barg-e-gul par sabā ke dāman par
naam terā hī jā-ba-jā likkhūñ
zikr aa.e jo terī manzil kā
chāñd-sūraj ko naqsh-e-pā likkhūñ
ho tirā hī jamāl pesh-e-nazar
jab qalam se ḳhudā ḳhudā likkhūñ
maiñ to zinda huuñ mar chukā hai vo
apne qātil kā marsiya likhūñ
ai 'sarosh' apnī zindagī ko maiñ
kaun se jurm kī sazā likkhūñ