jaane kyā hogā har ik dil ko ye dhaḌkā kyā hai
duur tak phailā huā ḳhauf kā saaya kyā hai
bahr o bar vaadī o sahrā meñ hai halchal kaisī
ye ufuq-tā-ba-ufuq shor sā barpā kyā hai
bain kartī huī chaltī hai havā kyuuñ sar-e-shām
dil kā maarā koī rātoñ ko sisaktā kyā hai
kyā hai ye soz-e-darūñ jis se sulagtā hai badan
jo bhaḌaktā hai dil o jaañ meñ vo sho.ala kyā hai
dam-ba-dam uThtī haiñ kis yaad kī lahreñ dil meñ
dard rah rah ke ye karvaT sī badaltā kyā hai
kaisī talḳhī hai ki nas nas meñ basī jaatī hai
zahr sā koī rag-o-pai meñ utartā kyā hai
bujh ga.ī sham-e-nazar jab to vo chehra chamkā
dil jo Duubā hai to ab chāñd sā niklā kyā hai