Sardar Soz

afsos kya jo hum bhi tumhaare nahin rahe

Sardar Soz

Moradabad, Uttar pradesh, India

1934
afsos kyā jo ham bhī tumhāre nahīñ rahe
tum bhī kisī ke ho ke hamāre nahīñ rahe
ab shikva-e-fareb-e-mohabbat na kījiye
ham bhī kisī kī aañkh ke taare nahīñ rahe
ye husn-e-ittifāq hai phir mil ga.e haiñ vo
ye aur baat hai ki hamāre nahīñ rahe
tum bhī ta.alluqāt kī had se guzar ga.e
ham bhī kisī ko jaan se pyāre nahīñ rahe
jab se chale ga.e vo bahāroñ ko luuT kar
husn-e-bahār ke vo nazāre nahīñ rahe
ham jin ke ho ga.e the zamāne ko chhoḌ kar
qismat to dekhiye vo hamāre nahīñ rahe
sher-o-suḳhan kī mahfiloñ kī raunaqeñ ga.iiñ
chhajje nahīñ rahe vo chaubāre nahīñ rahe
merī murād kā hai safīna bhī nā-murād
tūfān ruk gayā to kināre nahīñ rahe
vo chashm-e-sharmgīñ kī fusūñ-kāriyāñ ga.iiñ
vo chashm-e-surmagīñ ke ishāre nahīñ rahe
shāloñ meñ ishq ke bhī vo chiñgāriyāñ nahīñ
bas aag rah ga.ī hai sharāre nahīñ rahe
jaate hue vo sabr-o-sukūñ saath le gayā
bahte hue sukūn ke dhāre nahīñ rahe
rānā.ī-e-jamāl-e-gul-afshāñ kī ḳhair ho
ab husn-e-dilrubā ke nazāre nahīñ rahe
dil ko thā ibtidā-e-mohabbat meñ jin pe naaz
vo apnī zindagī ke sahāre nahīñ rahe
be-nūr kar gayā koī duniyā ko 'soz' kī
vo chāñd chhup gayā vo sitāre nahīñ rahe
Top Urdushayar.com