guzrā huā zamāna phir yaad aa rahā hai
bhūlā huā fasāna phir yaad aa rahā hai
jo phuul ban gayā hai hoñToñ par us ke aa kar
vo harf-e-mahramāna phir yaad aa rahā hai
jis meñ the chāñd taare mahbūb the hamāre
kyuuñ vo nigār-ḳhāna phir yaad aa rahā hai
vo do diloñ ko jis ne hamrāz kar diyā thā
vo rāz-e-dil-barāna phir yaad aa rahā hai
jis kī bisāt ulaT dī ai 'soz' āsmāñ ne
kyuuñ vo sharāb-ḳhāna phir yaad aa rahā hai