Shamim Farooqui

sharmili chhui-mui ajab mohni si thi

Shamim Farooqui

sharmīlī chhūī-mūī ajab mohnī sī thī
naddī ye gaañv meñ thī to kitnī bhalī sī thī
sahrā bhī thā udaas samundar bhī thā ḳhamosh
lekin vahī junūñ vahī dīvāngī sī thī
paanī ke intizār meñ ḳhālī ghaḌe ke paas
kuchh shoḳh shoḳh rañg the kuchh dilkashī sī thī
sūkhī huī nadī ko samundar kī thī talāsh
is ḳhvāhish-e-fuzūl meñ kyā sādgī sī thī
hoñToñ se gir rahe the vafāoñ ke ābshār
lekin diloñ meñ gard-e-kudūrat jamī sī thī
dariyā-e-ġham meñ shahr kā har fard ġharq thā
sāhil ke ās-pās fazā mātamī sī thī
us shaḳhs se 'shamīm' kā rishta ajiib thā
kuchh dushmanī kā rañg thā kuchh dostī sī thī
Top Urdushayar.com