Shamim Farooqui

Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan

Shamim Farooqui

Dūbte sūraj kā manzar vo suhānī kashtiyāñ
phir bulātī haiñ kisī ko bādbānī kashtiyāñ
ik ajab sailāb sā dil ke nihāñ-ḳhāne meñ thā
ret sāhil duur tak paanī hī paanī kashtiyāñ
mauj-e-dariyā ne kahā kyā sāhiloñ se kyā milā
kah ga.iiñ kal raat sab apnī kahānī kashtiyāñ
ḳhāmushī se Dūbne vaale hameñ kyā de ga.e
ek anjāne safar kī kuchh nishānī kashtiyāñ
ek din aisā bhī aayā halqa-e-girdāb meñ
kasmasā kar rah ga.iiñ ḳhvāboñ kī dhānī kashtiyāñ
aaj bhī ashkoñ ke is gahre samundar meñ 'shamīm'
tairtī phirtī haiñ yādoñ kī purānī kashtiyāñ
Top Urdushayar.com