āsmāñ kā rañg merī zaat meñ ghul jā.egā
dekhnā ik din ġhubār-e-jism bhī dhul jā.egā
ek ik kar ke parinde uḌ rahe haiñ shāḳh se
aisā lagtā hai ki jaise mausam-e-gul jā.egā
ḳhauf kī devī ko āḳhir mil gayā us kā pata
us ke sheroñ se bhī ab rañg-e-taġhazzul jā.egā
dard ke jhoñkoñ se bachnā ab kahāñ mumkin 'shamīm'
band hogā ek dar to dūsrā khul jā.egā