bahut ghuTan hai bahut iztirāb hai maulā
hamāre sar pe ye kaisā azaab hai maulā
sunā thā maiñ ne yahī din haiñ phuul khilne ke
mire liye to ye mausam ḳharāb hai maulā
koī batā.e hamārī samajh se bāhar hai
kise gunāh kaheñ kyā savāb hai maulā
azal se terī zamīñ par khaḌe haiñ tere ġhulām
saroñ pe un ke vahī āftāb hai maulā
gunāh jitne bhī mere haiñ sab shumār meñ haiñ
tirā karam to magar be-hisāb hai maulā
kuchh aur zillat-o-rusvā.iyāñ muqaddar hoñ
'shamīm' vaise bhī ḳhāna-ḳharāb hai maulā