Shamim Farooqui

andheri shab hai kahan ruTh kar wo jaega

Shamim Farooqui

añdherī shab hai kahāñ ruuTh kar vo jā.egā
khulā rahegā agar dar to lauT aa.egā
jo ho sake to use ḳhat zarūr likhā kar
tujhe vo merī tarah varna bhuul jā.egā
bahut dabīz huī jā rahī hai gard-e-malāl
na jaane kab ye dhulegī vo kab rulā.egā
lage hue haiñ nigāhoñ ke har jagah pahre
kahāñ matā-e-sukūñ jā ke tū chhupā.egā
use bhī chāhiye ik jism aur mujhe paanī
isī liye vo samundar mujhe bulā.egā
abhī ye shaam kā manzar bahut hasīñ hai 'shamīm'
Dhalegī raat to aa kar yahī Darā.egā
Top Urdushayar.com