maiñ fart-e-masarrat se Dar hai ki na mar jā.ūñ
likhā hai mujhe us ne maiñ had se guzar jā.ūñ
ik baar hī ho jaa.e ho jaa.e jo honā hai
utrūñ maiñ tire dil meñ yā dil se utar jā.ūñ
jis raah meñ bhī dekhūñ meñ naqsh-e-qadam un kā
mujh par hai adab lāzim ik pal to Thahar jā.ūñ
vo baḌh ke lagā leñge ḳhud mujh ko gale apne
jo sāmne meñ un ke bā-dīda-tar jā.ūñ
āñkheñ jo atā kī haiñ to ye bhī duā sun le
dekhūñ to use dekhūñ yā jaañ se guzar jā.ūñ
kyuuñ aañkh mirī zālim rah rah ke phaḌaktī hai
mumkin hai vo aa jaa.eñ maiñ bhī to sañvar jā.ūñ
vo bhī to mazā chakkheñ kuchh dard mohabbat kā
achchhā hai ki dil le kar maiñ saaf mukar jā.ūñ
kam-baḳht mohabbat bhī ik rog hai jāñ-levā
mālūm nahīñ mujh ko kab jaañ se guzar jā.ūñ
raste kī vahī mushkil manzil kī vahī duurī
aur dil kī vahī hasrat tā-hadd-e-nazar jā.ūñ
palkoñ se chunūñ apnī kāñTe tirī rāhoñ ke
juuñ barg-e-gul hasrat rāhoñ meñ bikhar jā.ūñ
gar chashm-e-karam un kī ho jaa.e kabhī mujh par
fan merā chamak uThe maiñ aur nikhar jā.ūñ
jis shahar ko chhoḌā thā māyūs-e-vafā ho kar
ab dil kī yahī zid hai vaañ bār-e-digar jā.ūñ
haq baat kahī maiñ ne milnī hai sazā mujh ko
jab manzil-e-dār aa.e mumkin nahīñ Dar jā.ūñ
itnī baḌī duniyā meñ ik un kā sahārā thā
jab vo hī nahīñ ham-dam phir 'soz' kidhar jā.ūñ