ḳhudī kā nashsha chaḌhā aap meñ rahā na gayā
ḳhudā bane the 'yagānā' magar banā na gayā
payām-e-zer-e-lab aisā ki kuchh sunā na gayā
ishāra paate hī añgḌā.ī lī rahā na gayā
hañsī meñ vāda-e-fardā ko Tālne vaalo
lo dekh lo vahī kal aaj ban ke aa na gayā
gunāh-e-zinda-dilī kahiye yā dil-āzārī
kisī pe hañs liye itnā ki phir hañsā na gayā
pukārtā rahā kis kis ko Dūbne vaalā
ḳhudā the itne magar koī aaḌe aa na gayā
karūñ to kis se karūñ dard-e-nā-rasā kā gila
ki mujh ko le ke dil-e-dost meñ samā na gayā
butoñ ko dekh ke sab ne ḳhudā ko pahchānā
ḳhudā ke ghar to koī banda-e-ḳhudā na gayā
kirshn kā huuñ pujārī alī kā banda huuñ
'yagānā' shān-e-ḳhudā dekh kar rahā na gayā