Yagana Changezi

dil lagane ki jagah aalam-e-ijad nahin

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
dil lagāne kī jagah ālam-e-ījād nahīñ
ḳhvāb āñkhoñ ne bahut dekhe magar yaad nahīñ
aaj asīroñ meñ vo hañgāma-e-fariyād nahīñ
shāyad ab koī gulistāñ kā sabaq yaad nahīñ
sar-e-shorīda salāmat hai magar kyā kahiye
dast-e-farhād nahīñ tesha-e-farhād nahīñ
tauba bhī bhuul ga.e ishq meñ vo maar paḌī
aise ausān ga.e haiñ ki ḳhudā yaad nahīñ
dushman o dost se ābād haiñ donoñ pahlū
dil salāmat hai to ghar ishq kā barbād nahīñ
fikr-e-imroz na andesha-e-fardā kī ḳhalish
zindagī us kī jise maut kā din yaad nahīñ
nik.hat-e-gul kī hai raftār havā kī pāband
ruuh qālib se nikalne pe bhī āzād nahīñ
zinda haiñ murda-parastoñ meñ abhī tak 'ġhālib'
magar ustād 'yagānā' sā ab ustād nahīñ
Top Urdushayar.com