udāsī chhā ga.ī chehre pe sham-e-mahfil ke
nasīm-e-sub.h se shole bhaḌak uThe dil ke
sharīk-e-hāl nahīñ hai koī to kyā parvā
dalīl-e-rāh-e-mohabbat haiñ valvale dil ke
ajab nahīñ ki bapā ho yahīñ se fitna-e-hashr
zamāne bhar meñ haiñ saare fasād isī dil ke
na sañg-e-mīl na naqsh-e-qadam na bāñg-e-jaras
bhaTak na jaa.eñ musāfir adam kī manzil ke
ḳhushī ke maare zamīñ par qadam nahīñ rakhte
jab aa.e qāfile vaale qarīb manzil ke
nazāra-e-ruḳh-e-lailā mubārak ai majnūñ
nigāh-e-shauq ne parde uThā.e mahmil ke
mushāhide ko ik ā.īna-e-jamāl diyā
kamāl-e-ishq ne jauhar dikhā diye dil ke
zabān-e-'yās' se afsāna-e-sahar suniye
vo ronā sham.a kā parvānoñ se gale mil ke