Yagana Changezi

mahrum-e-shahadat ki hai kuchh tujhko KHabar bhi

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
mahrūm-e-shahādat kī hai kuchh tujh ko ḳhabar bhī
o dushman-e-jāñ dekh zarā phir ke idhar bhī
hai jaan ke saath aur ik īmān kā Dar bhī
vo shoḳh kahīñ dekh na le muḌ ke idhar bhī
vo ham se nahīñ milte ham un se nahīñ milte
ik nāz-e-dil-āvez idhar bhī hai udhar bhī
ThanDā ho kalejā mirā is āh-e-sahar se
jab dil kī tarah jalne lage ġhair kā ghar bhī
allāh-rī be-tābī-e-dil vasl kī shab ko
kuchh kashmakash-e-shauq bhī kuchh sub.h kā Dar bhī
añgḌā.iyāñ le le ke uThe sāhab-e-mahfil
kuchh niiñd bhī āñkhoñ meñ hai kuchh mai kā asar bhī
ham māñgte hī kyuuñ jo yahī jānte saaqī
phir jā.egī qismat kī tarah terī nazar bhī
ham haath se dil thāme hue duur khaḌe haiñ
dekheñ to koī letā hai kuchh is kā asar bhī
ai jazba-e-dil dekh bahut tū ne kamī kī
haañ aahoñ meñ ab chāhiye thoḌā sā asar bhī
ab chup raho jo dil pe guzarnī thī vo guzrī
aisā na ho phaT jaa.e kahīñ zaḳhm-e-jigar bhī
mahrūm-e-shahādat tujhe kuchh sharm na aa.ī
kam-baḳht galā kaaT ke jaldī kahīñ mar bhī
bhārī hai musāfir pe bahut gor kī manzil
sunte haiñ ki is raah meñ hai jaan kā Dar bhī
vo kashmakash-e-ġham hai ki maiñ kah nahīñ saktā
āġhāz kā afsos aur anjām kā Dar bhī
khol āñkheñ zarā mast hai kyā sāġhar jam se
hai gardish-e-ayyām kī kuchh tujh ko ḳhabar bhī
lailī-e-shab-e-hijr ne bikhrā diye gesū
mātam meñ mire chāk-e-garebāñ hai sahar bhī
kis shaan se aatī hai mirī shām-e-musībat
vo dekho jilau meñ hai qayāmat kī sahar bhī
bujhtī huī ik sham.a huuñ kyā dam kā bharosā
dushman hai mirī jaan kī ab āh-e-sahar bhī
dekhe koī jaatī huī duniyā kā tamāshā
bīmār bhī sar dhuntā hai aur sham-e-sahar bhī
sahrā kī havā khīñche liye jaatī hai mujh ko
kahtā hai vatan dekh zarā phir ke idhar bhī
haañ kaT ga.ī shāyad tire dīvāne kī beḌī
pichhle-pahar aa.ī thī kuchh āvāz idhar bhī
kyā va.ada-e-dīdār ko sach jānte ho 'yās'
lo farz karo aa.ī qayāmat kī sahar bhī
allāh mubārak kare piirī kī sahar 'yās'
marne kī tamannā thī to le ab kahīñ mar bhī
Top Urdushayar.com