ḳhudā ma.alūm kaisā sehr thā is but kī chitvan meñ
chale jaatī haiñ ab tak chashmakeñ shaiḳh-o-barahman meñ
chhupeñge kyā asīrān-e-balā sahrā ke dāman meñ
mohabbat daam kī phir khīñch kar lā.egī gulshan meñ
hijāb uTThā zamīñ se āsmāñ tak chāñdnī chhiTkī
gahan meñ chāñd thā jab tak chhupe baiThe the chilman meñ
kanakhiyoñ se jo ham ko bazm meñ tum dekh lete ho
khaTak jaate haiñ kāñTe kī tarah ham-chashm-e-dushman meñ
kanār-e-ābjū baiThe haiñ mast-e-nik.hat-e-sāġhar
nazar sū-e-falak aur haath hai miinā kī gardan meñ
galā ghuTne lagā ab tañg aayā huuñ garebāñ se
junūñ ne vaah kyā phāñsī lagā.ī merī gardan meñ
bahut dast-e-junūñ ne gudgudāyā jab to kyā karte
utārīñ beḌiyāñ aur pahne duhre tauq gardan meñ
batāo sair-e-sahrā kī koī tadbīr vahshī ko
garebāñ meñ to haath uljhā phañsā hai paañv dāman meñ
milā de ḳhaak meñ ai charḳh is ujḌe hue ghar ko
ki apnī ruuh tak bechain hai ab ḳhāna-e-tan meñ
thake-māñde safar ke so rahe haiñ paañv phailā.e
ye sab mar mar ke pahuñche haiñ baḌī mushkil se madfan meñ
jo har-dam jhāñkte the rauzan-e-dīvār-e-zindāñ se
unheñ phir chain aayā kis tarah tārīk madfan meñ
kise ma.alūm dāġh-e-ātishīñ se dil pe kyā guzrī
sidhāre ThanDe ThanDe sauñp kar sab ham ko madfan meñ
kujā muusā kujā maqsūd sub.hānallazī-asrā
ragaḌ kar eḌiyāñ bas rah ga.e vādī-e-aiman meñ
hijāb-e-nāz be-jā 'yās' jis din beach meñ aayā
usī din se laḌā.ī Than ga.ī shaiḳh-o-barahman meñ