Sardar Soz

bujhe charagh jalane mein der lagti hai

Sardar Soz

Moradabad, Uttar pradesh, India

1934
bujhe charāġh jalāne meñ der lagtī hai
nasīb apnā banāne meñ der lagtī hai
vatan se duur musāfir chale to jaate haiñ
vatan ko lauT ke aane meñ der lagtī hai
ta.alluqāt to ik pal meñ TuuT jaate haiñ
kisī ko dil se bhulāne meñ der lagtī hai
bikhar to jaate haiñ pal-bhar meñ dil ke sab TukḌe
magar ye TukḌe uThāne meñ der lagtī hai
ye un kī yaad kī ḳhushbū bhī kaisī hai ḳhushbū
chalī to aatī hai jaane meñ der lagtī hai
vo zid bhī saath meñ laate haiñ jaane jaane kī
ye aur baat ki aane meñ der lagtī hai
ye ghoñsle haiñ parindoñ ke un ko mat toḌo
unheñ dobāra banāne meñ der lagtī hai
vo daur-e-ishq kī rañgīñ hasīn yādoñ ke
nuqūsh dil se miTāne meñ der lagtī hai
ye dāġh-e-tark-e-marāsim na dījiye ham ko
jigar ke daaġh miTāne meñ der lagtī hai
ḳhabar bhī hai tujhe dil ko ujāḌne vaale
diloñ kī bastī basāne meñ der lagtī hai
tumheñ qasam hai bujhāo na pyaar kī sham.eñ
unheñ bujhā ke jalāne meñ der lagtī hai
bhulā.ūñ kaise achānak kisī kā kho jaanā
ye hādsāt bhulāne meñ der lagtī hai
zarā sī baat pe ham se jo ruuTh jaate haiñ
unheñ to 'soz' manāne meñ der lagtī hai
Top Urdushayar.com