Yagana Changezi

husn par firaun ki phabti kahi

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
husn par fir.aun kī phabtī kahī
haath laanā yaar kyuuñ kaisī kahī
dāman-e-yūsuf hī bhaḌkātā rahā
ishq aur tark-e-adab achchhī kahī
kaun samjhā.e ki duniyā gol hai
aap ne jaisī sunī vaisī kahī
koī zid thī yā samajh kā pher thā
man ga.e vo maiñ ne jab ulTī kahī
dard se pahle karūñ fikr-e-davā
vaah ye achchhī ulTavānsī kahī
dost se parda kiyā ye kyā kiyā
āp-bītī chhoḌ jag-bītī kahī
shak hai kāfir ko mire īmān meñ
jaise maiñ ne koī muñh dekhī kahī
kyā ḳhabar thī ye judā.ī aur hai
haa.e maiñ ne kyuuñ ḳhudā-lagtī kahī
muft meñ sun lī 'yagānā' kī ġhazal
an-sunī kar dī jo matlab kī kahī
Top Urdushayar.com