Yagana Changezi

saya agar nasib ho diwar-e-yar ka

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
saaya agar nasīb ho dīvār-e-yār kā
kyā martaba buland ho apne mazār kā
vo dasht-e-haulnāk vo hubb-e-vatan kā josh
phir phir ke dekhnā vo kisī be-dayār kā
lau de rahī hai shaam se aaj āh-e-ātishīñ
shola bhaḌak rahā hai dil-e-dāġhdār kā
tasvīr-e-naza.a dekhnā chāho to dekh lo
rah rah ke jhilmilānā charāġh-e-mazār kā
par taulne lage phir asīrān-e-bad-nasīb
shāyad qarīb aa gayā mausam bahār kā
mū-e-safed kāñpte haath aur jām-e-mai
dikhlā rahe haiñ rañg ḳhizāñ meñ bahār kā
añgḌā.iyoñ ke saath kahīñ dam nikal na jaa.e
āsāñ nahīñ hai ranj uThānā ḳhumār kā
saaqī girā na dījiyo ye jām-e-āḳhirī
dil TuuT jā.egā kisī ummīd-vār kā
mastoñ kī rūheñ bhaTkeñgī achchhā nahīñ hai ab
ghir-ghir ke aanā qabroñ par abr-e-bahār kā
dekho to apne vahshiyoñ kī jāma-zebīyāñ
allāh re husn pairahan-e-tār-tār kā
jurm-e-guzishta afv kun o mājrā mapurs
maarā huā huuñ is dil-e-be-iḳhtiyār kā
duniyā se 'yās' jaane ko jī chāhtā nahīñ
allāh re husn gulshan-e-nā-pā.edār kā
Top Urdushayar.com