hanūz dard-e-judā.ī-e-yār baaqī hai
khaTak rahā thā jo dil meñ vo ḳhaar baaqī hai
na qais hai na vo mahmil-savār baaqī hai
bas ik ġhubār faqat yādgār baaqī hai
sharāb-e-aish kisī shab huī thī mujh ko nasīb
usī sharāb kā ab tak ḳhumār baaqī hai
kabhī to shām-e-musībat kī sub.h aa.egī
agar ye gardish-e-lail-o-nahār baaqī hai
nigāh-e-lutf se saaqī hamīñ raheñ mahrūm
udhar bhī dekh ik ummīd-vār baaqī hai
bahār aa.egī phir 'yās' nā-umīd na ho
abhī to gulshan-e-nā-pā.edār baaqī hai