Yagana Changezi

agar apni chashm-e-nam par mujhe iKHtiyar hota

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
agar apnī chashm-e-nam par mujhe iḳhtiyār hotā
to bhalā ye rāz-e-ulfat kabhī āshkār hotā
hai tunuk-mizāj sayyād kuchh apnā bas nahīñ hai
maiñ qafas ko le ke uḌtā agar iḳhtiyār hotā
ye zarā sī ik jhalak ne dil o jaañ ko yuuñ jalāyā
tirī barq-e-husn se phir koī kyā do-chār hotā
ajī tauba is garebāñ kī bhalā bisāt kyā thī
ye kaho ki haath uljhā nahīñ tār-tār hotā
vo na aate fātiha ko zarā muḌ ke dekh lete
to hujūm-e-'yās' itnā na sar-e-mazār hotā
Top Urdushayar.com