Yagana Changezi

jo dil nahin rakhta koi mushkil nahin rakhta

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
jo dil nahīñ rakhtā koī mushkil nahīñ rakhtā
mushkil nahīñ rakhtā koī jo dil nahīñ rakhtā
khīñche liye jaatā hai kahīñ shauq-e-shahādat
dam lene kī taab ab dil-e-bismil nahīñ rakhtā
hoñ reg ke mānind shab-o-roz safar meñ
āvāra-e-vahshat koī manzil nahīñ rakhtā
majbūr huuñ kyā zor chale josh-e-junūñ se
zanjīr koī paañv ke qābil nahīñ rakhtā
ka.abe se ho yā der se manzil pe pahuñch jā.ūñ
ik dhun hai tamīz-e-haq-o-bātil nahīñ rakhtā
mai-ḳhāne ko dekhe koī in āñkhoñ se ġhāfil
ik nuur kā dariyā hai ki sāhil nahīñ rakhtā
kausar bhī khiñch aa.e to ye niyyat nahīñ bhartī
dariyā-e-havas vo hai ki sāhil nahīñ rakhtā
aayā na koī ḳhvāb meñ bhī mulk-e-adam se
afsos ki itnī bhī kashish-e-dil nahīñ rakhtā
lailā ko bhalā dekhegā kin āñkhoñ se majnūñ
jab tāqat-e-nazzāra-e-mahamil nahīñ rakhtā
kyuuñ 'yās' qafas meñ bhī vahī zamzama-sanjī
aisā to zamāne meñ koī dil nahīñ rakhtā
Top Urdushayar.com