lipaTtī hai bahut yād-e-vatan jab dāman-e-dil se
palaT kar ik salām-e-shauq kar letā huuñ manzil se
nazar aa.e jab āsār-e-judā.ī rañg-e-mahfil se
nigāh-e-'yās' begāna huī yārān-e-yak-dil se
ubharne ke nahīñ bahr-e-fanā meñ Dūbne vaale
dur-e-maqsūd hī ġham hai to phir kyā kaam sāhil se
tasavvur lāla-o-gul kā ḳhizāñ meñ bhī nahīñ miTtā
nigāh-e-shauq vābasta hai ab tak naqsh-e-bātil se
nahīñ ma.alūm kyā lazzat uThā.ī hai asīrī meñ
dil-e-vahshī phaḌak uThtā hai āvāz-e-salāsil se
kisī shai meñ na hogī bāda-e-irfāñ kī gunjā.ish
laḌā le sāġhar-e-jam ko bhī koī shīsha-e-dil se
tasavvur ne dikhāyā shāhid-e-maqsūd kā jalva
utar aa.ī hai lailā sar-zamīn-e-dil pe mahmil se
rahegī chaar dīvār-e-anāsir darmiyāñ kab tak
uThegā zalzala ik din isī baiThe hue dil se
kahāñ tak parda-e-fānūs se sar kī balā Taltī
azal se laag thī bād-e-fanā ko sham-e-mahfil se
yahīñ se sair kar lo 'yās' itnī duur kyuuñ jaao
adam ābād kar DāñDā milā hai kū-e-qātil se