vahshat thī ham the sāya-e-dīvār-e-yār thā
yā ye kaho ki sar pe koī jin savār thā
bigḌā chaman meñ kal tire vahshī kā jab mizāj
jhoñkā nasīm kā bhī use nāgavār thā
laale kā daaġh dekh ke chitvan badal ga.ī
tevar se saaf rāz-e-junūñ āshkār thā
pahle to āñkheñ phaaḌ ke dekhā idhar-udhar
dāman phir ik ishāre meñ bas tār-tār thā
allāh re toḌ nīchī nigāhoñ ke tiir kā
uf bhī na karne paa.e the aur dil ke paar thā
nairañg-e-husn o ishq kī vo āḳhirī bahār
turbat thī merī aur koī ashk-bār thā
jhuk-jhuk ke dekhtā hai falak aaj tak use
jis sarzamīñ pe merā nishān-e-mazār thā
sāhil ke paas 'yās' ne himmat bhī haar dī
kuchh haath paañv mārtā zālim to paar thā