yaar hai aa.ina hai shāna hai
chashm-e-bad-dūr kyā zamāna hai
jhāñkne tākne kā vaqt gayā
ab vo ham haiñ na vo zamāna hai
vahshat-añgez hai nasīm-e-bahār
kyā junūñ-ḳhez ye zamāna hai
sāqiyā arsh par hai apnā dimāġh
sar hai aur terā āstāna hai
dāġh-e-hasrat se dil ho mālāmāl
yahī daulat yahī ḳhazāna hai
mahsharistān-e-ārzū-e-visāl
dil hai kyā ek kār-ḳhāna hai
lo bujhā chāhtā hai dil kā kañval
ḳhatm ab ishq kā fasāna hai
kyā kahīñ uḌ ke jā nahīñ sakte
vo chaman hai vo āshiyāna hai
'yās' ab aap meñ na ā.eñge
vasl ik maut kā bahāna hai