qayāmat hai shab-e-vāda kā itnā muḳhtasar honā
falak kā shaam se dast-o-garebān-e-sahar honā
shab-e-tārīk ne pahlū dabāyā roz-e-raushan kā
zahe qismat mire bālīñ pe terā jalvagar honā
havā-e-tund se kab tak laḌegā shola-e-sarkash
abas hai ḳhud-numā.ī kī havas meñ jalvagar honā
diyār-e-be-ḳhudī hai apne haq meñ gosha-e-rāhat
ġhanīmat hai ghaḌī bhar ḳhvāb-e-ġhaflat meñ basar honā
vahī saaqī vahī sāġhar vahī shīsha vahī baada
magar lāzim nahīñ har ek par yaksāñ asar honā
sunā karte the aaj āñkhoñ se dekheñ dekhne vaale
nigāh-e-'yās' kā sañgīñ-diloñ par kārgar honā