Sardar Soz

aisa nahin ki un se mohabbat nahin mujhe

Sardar Soz

Moradabad, Uttar pradesh, India

1934
aisā nahīñ ki un se mohabbat nahīñ mujhe
ifshā-e-rāz-e-ishq kī jur.at nahīñ mujhe
jalve haiñ un ke nau-ba-nau merī nigāh meñ
ab un ko ġham ye hai ġham-e-furqat nahīñ mujhe
rakhnā hai un ke paañv pe jā kar sar-e-niyāz
ruk jā ajal kyā itnī bhī mohlat nahīñ mujhe
shorīdgī-e-ishq kahāñ le ke aa ga.ī
phūloñ se bhī jahāñ koī raġhbat nahīñ mujhe
hotī hai un se pahroñ tasavvur meñ guftugū
sochūñ kuchh aur itnī bhī fursat nahīñ mujhe
rusvā jahāñ meñ kar diyā us jazb-e-shauq ne
maqsūd varna ishq meñ shohrat nahīñ mujhe
is darja jhuuT suntā rahā huuñ tamām umr
sunñe kī sach bhī ab koī aadat nahīñ mujhe
ab un se hāl-e-dil maiñ bayāñ 'soz' kyā karūñ
apnī zabān par bhī to qudrat nahīñ mujhe
Top Urdushayar.com