Yagana Changezi

qafas-nasibon ko taDpa gai hawa-e-bahaar

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
qafas-nasīboñ ko taḌpā ga.ī havā-e-bahār
chhurī sī dil pe chalī jab chalī havā-e-bahār
koī to jur.a-kash-e-jām-e-arġhavānī ho
kisī ko hijr ke ġham meñ lahū rulā.e bahār
havā meñ āj-kal ik dhīmī dhīmī vahshat hai
isī zamāne se shāyad hai ibtidā-e-bahār
nasīm sehn-e-chaman meñ pachhāḌeñ khātī hai
to dil ko aur bhī taḌpātī hai adā-e-bahār
qafas pe rakhiyo na sayyād baar phūloñ kā
kahīñ asīroñ ko zālim na yaad aa.e bahār
khaḌī huī hai asā Teke nargis-e-bīmār
is intizār meñ hai dekhiye kab aa.e bahār
safed bāloñ pe kyā rañg de rahā hai ḳhizāb
ab ibtidā-e-ḳhizāñ hai aur intihā-e-bahār
Top Urdushayar.com