fikr-e-anjām na āġhāz kā kuchh hosh rahā
chaar din tak to javānī kā ajab josh rahā
maiñ qafas meñ bhī kisī roz na ḳhāmosh rahā
kashmakash meñ bhī tabī.at kā vahī josh rahā
nashsha-e-ulfat-e-sāqī kā ajab josh rahā
haul-e-sahrā-e-qayāmat bhī farāmosh rahā
ġhair hoñ jur.a-e-kash-e-bazm-e-tamannā afsos
ḳhuun ke ghūñT maiñ piitā rahā ḳhāmosh rahā
hech aafat na-rasad gosha-e-tanhā.ī rā
dasht-e-ġhurbat meñ maiñ ye soñch ke rū-posh rahā
mausam-e-gul kī havā dārū-e-be-hoshī thī
sar uThāne kā bhī sabze ko na kuchh hosh rahā
nik.hat-e-gul kī tarah jaame se bāhar hūñgā
fasl-e-gul kā jo gulistāñ meñ yahī josh rahā
bahr-e-rahmat meñ bahut hogā talātum barpā
tujh ko ai ashk-e-nadāmat jo yahī josh rahā
apne sar se bhī kisī roz guzar jā.egā
āb-e-shamshīr ko qātil jo yahī josh rahā
sāya-e-dāman-e-qātil meñ jo niiñd aa.ī mujhe
phir to karvaT bhī badalne kā na kuchh hosh rahā
dhuum suntā rahā ab aate haiñ ab aate haiñ
hashr tak maiñ yūñhī khole hue āġhosh rahā
duur khiñchtī hī ga.ī manzil-e-maqsūd magar
rah-rav-e-ishq kī himmat kā vahī josh rahā
rahmat-e-haq rahī ham āsiyoñ par sāya-fagan
sar pe chhāyā huā ik abr-e-ḳhatā-posh rahā
uThte uThte thī vahī bazm kī mastāna ravish
chalte chalte bhī ḳhum-e-mai ko vahī josh rahā
phir ga.iiñ āñkheñ mirī kūcha-e-jānāñ kī taraf
shukr hai marte dam itnā to mujhe hosh rahā