Yagana Changezi

adab ne dil ke taqaze uThae hain kya kya

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
adab ne dil ke taqāze uThā.e haiñ kyā kyā
havas ne shauq ke pahlū dabā.e haiñ kyā kyā
na jaane sahv-e-qalam hai ki shāhkār-e-qalam
balā-e-husn ne fitne uThā.e haiñ kyā kyā
nigāh Daal dī jis par vo ho gayā andhā
nazar ne rañg-e-tasarruf dikhā.e haiñ kyā kyā
isī fareb ne maarā ki kal hai kitnī duur
is aaj kal meñ abas din gañvā.e haiñ kyā kyā
pahāḌ kāTne vaale zamīñ se haar ga.e
isī zamīn meñ dariyā samā.e haiñ kyā kyā
guzar ke aap se ham aap tak pahuñch to ga.e
magar ḳhabar bhī hai kuchh pher khaa.e haiñ kyā kyā
buland ho to khule tujh pe zor pastī kā
baḌe-baḌoñ ke qadam Dagmagā.e haiñ kyā kyā
ḳhushī meñ apne qadam chuum luuñ to zebā hai
vo laġhzishoñ pe mirī muskurā.e haiñ kyā kyā
ḳhudā hī jaane 'yagānā' maiñ kaun huuñ kyā huuñ
ḳhud apnī zaat pe shak dil meñ aa.e haiñ kyā kyā
Top Urdushayar.com