Yagana Changezi

kis dil se tark-e-lazzat-e-duniya kare koi

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
kis dil se tark-e-lazzat-e-duniyā kare koī
vo ḳhvāb-e-dil-fareb ki dekhā kare koī
kyā sahl hai ki tark-e-tamāshā kare koī
dil se na ho to aañkh se tauba kare koī
ġhunche ke dil meñ kuchh na thā ik aah ke sivā
phir kyā shaguftagī kī tamannā kare koī
āñkheñ hoñ jis ke āñkhoñ hī āñkhoñ meñ taaḌ le
dard apnā vo nahīñ ki TaTolā kare koī
dil muztarib nigāh giraftār-e-shash-jahat
farmā.iye kidhar kā irāda kare koī
yādash ba-ḳhair yād-e-ḳhudā aa hī jaatī hai
apnī taraf se laakh bhulāyā kare koī
is kī nigāh-e-shauq ke qurbān jā.iye
tujh aise be-nishāñ ko jo paidā kare koī
taa.at ho yā gunāh pas-e-parda ḳhuub hai
donoñ kā jab maza hai ki tanhā kare koī
bande na hoñge jitne ḳhudā haiñ ḳhudā.ī meñ
kis kis ḳhudā ke sāmne sajda kare koī
husn-e-'yagānā' aap hī apnā hijāb hai
husn-e-hijāb duur se dekhā kare koī
Top Urdushayar.com